Friday, October 29, 2010

Tassubur - A nice Poem

I came across one blog and found this fantastic Poem:

Jisne sahi hai dopehar ki kadakti dhoop
Ye shaam ki thandi hawaye hai unke liye
Jo baithe the shishe ke gharo me tasabur se
Sochta hu wo yaha aaye hai kis ke liye
Rakhta hai khayal wo, jo malik hai sabka
Kahi dhoop kahi chhao ye karishma hai usi ka
Rote hue chehro ko hasi ki phuar deta hai
Par jinhone rulaya hai vo haste hai kis ke liye
Tapti ret par jo nange paav chalte rahe
Koi pashchatap nahi phir bhi jalte rahe
Raat ki chandani jab aati hai unko sulaane
Tab gharo se nikal ke sab tehelte hai kis ke liye