Sunday, September 19, 2010

Dr. Kumar Biswas Poem.. Simply Superb

koi diwana kehta hai..koi pagal samjta hai..
magar dharti ki baicheni..ko bas badal samjta hai...
tu mujhase dur kaisi hai main tuzse dur kaisa hu,
yeh mera dil samjta hai na tera dil samjta hai...

mahobat ek ehsason ki pawan si kahani hai
kabhi kabira diwana tha kabhi meera diwani hai..
yaha sab log kehte hai ki mere aankho me aansu hai..
jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai..

Bahut tuta bahot bikhara thapede seh nahi paaya..
hawaaon ke isharo par, magar main beh nahi paya...
adhoora ansuna hi reh gaya yeh pyar ka kissa...
adhoora ansusna hi reh gaya yeh pyaar ka kissa...
kabhi tu sun nahi paaryi kabhi main keh nahi paya...

bhramar koi kumdani par machal baitha to hungama
humare dil me koi khwab pal baitha to hungama...
abhi tak log sunte the yahaan kissa mahobat ka...
main kisse ko hakikat me badal baitha to hungama...

samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta...
yeh aansu pyar ka moti, ise main kho nahi sakta...
meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle...
meri chahat ko tu dulhan bana lena magar sunle..
jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta...

swaym se dur ho tum bhi.... swaym se dur hai hum bhi...
bade mashhoor ho tum bhi...bade mashhoor hai hum bhi..
bade magroor ho tum bhi... bade magroor ho tum bhi..
aatah bade majboor ho tum bhi.. bade majboor hai hum bhi...

No comments: